nang dhadang malang tarang mein aaega jo wahi kaam karenge kufr karenge jo aaya ji ji chaha to islam karenge raste bhar us rup ki dhup mein jaan khapaenge maut ki had tak chalte samay phir us ki zulf ki chhanw mein bisram karenge dekho tum apne kachche dar-o-diwar ko pakka mat karwana shahr mein jab bhi aaenge hum to tumhaare ghar hi qayam karenge aaj hamare saron par hai ye suraj par kal khak mein hoga hum ne to bas aawaz laga di baqi kaam awam karenge hum ko ek bahut hi badi sachchai ko afsana karna hai khub piyenge sharab-e-wahm aur khub khayal-e-kham karenge ishq hi puri tarah kar len to samjho koi jihad kiya hai ye 'farhat-ehsas' azal ke kahil kya koi kaam karenge