tariqat mein agar zahid mujhe gumrah jaane hai mere dil ki haqiqat ko mera allah jaane hai wo be-parwa mera kab imtiyaz-e-chah jaane hai meri haalat ko dil aur dil ki haalat aah jaane hai use jo dekhta hai din ko so khurshid jaane hai jo ghar se raat ko nikle to aalam mah jaane hai hamari baat ko wo aaqibat-na-fahm kya mane jo bad-khwahon ko apne apna daulat-khwah jaane hai mera dil bar-e-ishq aisa uthane mein dilawar hai jo us ke koh dun sar par to us ko kah jaane hai hamein dair o haram shaikh o barhaman se nahin matlab hamara dil to apne dil ko baitullah jaane hai wo wahshi is qadar bhadka hai surat se mere yaro ki apne dekh sae ko mujhe hamrah jaane hai kahen hum bahr-e-be-payan-e-gham ki mahiyat kis se na lahron se koi waqif na koi thah jaane hai khuda ke waste insaf kijo kya tamasha hai main us ka khair-khwah aur wo mujhe bad-khwah jaane hai agar wo fitna jo tujh se mile 'hatim' to kah dijo ki mansube tere sab banda-e-dargah jaane hai