wo na pahchane ye khadsha sa lagta rahta hai rukh pe us ke naya chehra sa laga rahta hai apne ghar mein bhi to hai chain se sona mushkil chhat na gir jae ye khatka sa laga rahta hai wo zamin khak ugaegi adawat ke siwa pyar par jis jagah pahra sa laga rahta hai bhid chhatti nahin is kalba-e-ahzan se kabhi aarzuen hain ki mela sa laga rahta hai saf kitna hi karen daman-e-qatil ko halif lauh-e-tarikh pe dhabba sa laga rahta hai tere aane ki khushi bhi nahin hoti 'partaw' tu chala jaega dhadka sa laga rahta hai