naqab-e-shab mein chhup kar kis ki yaad aai samajhte hain ishaare hum tere ai sham-e-tanhai samajhte hain na samjhen baat waiz ki hum itne bhi nahin nadan kahan tak hai bisat-e-aql-o-danai samajhte hain tawajjoh phir tawajjoh hai magar hum tere diwane taghaful ko bhi ek andaz-e-ranani samajhte hain hamein na-ashna samjho na rasm-o-rah-e-manzil se kahan le ja raha hai zauq-e-ruswai samajhte hain hum aise sar-phiron ko kaam kya hai marg o hasti se ye sab hai shokhi-e-naz-e-masihai samajhte hain hum ai khalwat-nashin aakhir mein tere dekhne wale ye kyun hai ehtimam-e-mahfil-arai samajhte hain rida-e-paki-o-taqwa ki azmat mein to kya shak hai 'rawish' hum to ghubar-e-ku-e-ruswai samajhte hain