shamim-e-zulf o gul-e-tar nahin to kuchh bhi nahin dimagh-e-ishq moattar nahin to kuchh bhi nahin gham-e-hayat baja hai magar gham-e-jaanan gham-e-hayat se badh kar nahin to kuchh bhi nahin haqiqat-e-gham-e-dauran ke sath ai naseh fareb-e-shisha-o-saghar nahin to kuchh bhi nahin rah-e-wafa mein dil o jaan nisar kar jaen agar ye apna muqaddar nahin to kuchh bhi nahin azab-e-dard pe nazan hain ahl-e-dard magar nashat-e-dard mayassar nahin to kuchh bhi nahin ye kah ke chhod di rah-e-khirad mere dil ne qadam qadam pe jo thokar nahin to kuchh bhi nahin wo harf jis se hai mansur o dar ko nisbat lab-e-junun pe mukarrar nahin to kuchh bhi nahin nasim ban ke hum aae hain is gulistan mein kali kali jo gul-e-tar nahin to kuchh bhi nahin