yar jab ham-kanar howega dil ko mere qarar howega guzra mujh khak se jo daman-kash ye wahi shahsawar howega tab kya mah-e-chaar-dah ko jo tuk us pari se do-chaar howega mehr us rukh ke aage afsurda jun charagh-e-mazar howega gul nazakat ke aage us ru ke chashm-e-bulbul mein khar howega sarw is qadd-e-rast ke aage banda-e-chobdar howega garche aalam mein har koi tera aashiq-e-gham-gusar howega yaad kar hum sa par na kui pyare fidwi-e-jaan-nisar howega ai 'jahandar' kab wo aaina-ru dekho mujh se do-chaar howega