naslen jo andhere ke mahazon pe ladi hain ab din ke katahre mein khata-war khadi hain be-nam si aawaz-e-shaguft aai kahin se kuchh patiyan shayad shajar-e-shab se jhadi hain niklen to shikaston ke andhere ubal aaen rahne do jo kirnen meri aankhon mein gadi hain aa dub! ubharna hai tujhe agle nagar mein manzil bhi bulati hai saliben bhi khadi hain jab pas kabhi jaen to pat bhed len khat se kya ladkiyan sapne ke darichon mein khadi hain kya raat ke aashob mein wo khud se lada tha aaine ke chehre pe kharashen si padi hain khamoshiyan us sahil-e-awaz se aage patal se gahri hain, samundar se badi hain