naqqash dekh to main kya naqsh-e-yar khincha us shokh kam-numa ka nit intizar khincha rasm-e-qalamraw-e-ishq mat puchh kuchh ki nahaq ekon ki khaal khinchi ekon ko dar khincha tha bad-sharab saqi kitna ki raat mai se main ne jo hath khincha un ne katar khincha masti mein shakl sari naqqash se khinchi par aankhon ko dekh us ki aakhir khumar khincha ji khinch rahe hain udhar aalam ka hoga balwa gar shane tu ne us ki zulfon ka tar khincha tha shab kise kasae tegh-e-kashida-kaf mein par main ne bhi baghal baghal be-ikhtiyar khincha phirta hai 'mir' to jo phade hue gareban kis kis sitam-zade ne daman yar khincha