wo chandni raat aur wo mulaqat ka aalam kya lutf mein guzra hai gharaz raat ka aalam jata hun jo majlis mein shab us rashk-e-pari ki aata hai nazar mujh ko tilismat ka aalam barson nahin karta tu kabhu baat kisu se mushtaq hi rahta hai teri baat ka aalam kar majlis-e-khuban mein zara sair ki baham hota hai ajab un ke ishaaraat ka aalam dil us ka na lote kabhi phulon ki safa par shabnam ko dikha dun jo tere gat ka aalam hum log sifat us ki bayan karte hain warna hai wahm o khirad se bhi pare zat ka aalam wo kali ghata aur wo bijli ka chamakna wo meinh ki bauchhaden wo barsat ka aalam dekha jo shab-e-hijr to roya main ki us waqt yaad aaya shab-e-wasl ke auqat ka aalam hum 'mushafi' qane hain ba-khushk-o-tar-e-giti hai apne to nazdik musawat ka aalam