naqsh baithe hai kahan khwahish-e-azadi ka nang hai nam rihai teri sayyaadi ka dad de warna abhi jaan pe khelun hun main dil jalana nahin dekha kisi fariyaadi ka tu ne talwar rakhi sar rakha mein banda hun apni taslim ka bhi aur teri jalladi ka shahr ki si rahi raunaq usi ke jite-ji mar gaya qais jo tha khana khuda wadi ka shaikh kya suraten rahti thin bhala jab tha dair ru-ba-virani ho is kabe ki aabaadi ka rekhta rutbe ko pahunchaya hua us ka hai mo'taqid kaun nahin 'mir' ki ustadi ka