wo dar talak aawe na kabhi baat ki thahre hairan hun main kis tarah mulaqat ki thahre har roz ka milna hai jo dushwar to pyare itna to karo qasd ki ek raat ki thahre jis waqt ki hum aaen to ye chahiye tum ko auron se na phir harf-o-hikayat ki thahre ai dida-e-tar tum bhi jhadi apni laga do is sal to barsat mein barsat ki thahre kis chiz pe phir hum hon guftar-e-tayyun din raat ki thahre hai na auqat ki thahre jab kat ke dil pair gai howe jigar mein phir kyun na chhuri aap ki us baat ki thahre har roz ye chahe hai teri chashm ki gardish is markaz-e-khaki pe kuchh aafat ki thahre ai 'mushafi' is waqt wo mehman hai tumhaare hai ghat ki jagah tu, agar ghat ki thahre