naqsh dil par kaisi kaisi suraton ka rah gaya kitni lahren ham-safar thin phir bhi pyasa rah gaya kaisi kaisi khwahishen mujh se juda hoti gain kis qadar aabaad tha aur kitna tanha rah gaya dhundne nikla tha aawazon ki basti mein use soch kar viran guzargahon pe baitha rah gaya us se milna yaad hai mil kar bichhadna yaad hai kya bata sakta hun kya jata raha kya rah gaya main ye kahta hun ki har rukh se basar ki zindagi zindagi kahti hai har pahlu adhura rah gaya ahd-e-rafta ki khudai kis qadar mahngi padi jis jagah unchi imarat thi gadha sa rah gaya sirf itni hai 'muzaffar' apni rudad-e-hayat main zamane ko zamana mujh ko takta rah gaya