zara batla zaman kya hai makan ke us taraf kya hai agar ye sab guman hai to guman ke us taraf kya hai agar patthar se bikhre hain to aakhir ye chamak kaisi jo makhzan nur ka hai kahkashan ke us taraf kya hai ye kya rasta hai aadam gamzan hai kis masafat mein nahin manzil to phir is karwan ke us taraf kya hai ajab patal hai darwaza o diwar se aari zamin-andar-zamin be-nishan ke us taraf kya hai tah-e-ab-e-rawan sunta hun ye sargoshiyan kaisi sukunat kis ki hai aur aastan ke us taraf kya hai samajhte aa rahe the jis khala ko shahr-e-gum-gashta wo shai kya hai khala-e-be-karan ke us taraf kya hai nahin khulta ki aakhir ye tilismati tamasha sa zamin ke is taraf aur aasman ke us taraf kya hai