naqsh diwar-e-shikasta hi kahin ho mujh mein dard ho yaad ho koi to makin ho mujh mein ek jazira hun tah-e-khun-e-tamanna kab se panw rakhne ke liye kuchh to zamin ho mujh mein khun baqi hai to phir zakhm se bahar aae rang dikhlae jo ek bund yaqin ho mujh mein main tere gham ki amanat ko sambhaale rakkhun sans koi to magar mera amin ho mujh mein mujh sulagte hue jangal pe hai chadhti aandhi laut jae jo bhi ab gosha-nashin ho mujh mein