puchhoge to khul jaegi zaKHmon ki zaban aur

puchhoge to khul jaegi zakhmon ki zaban aur
purshish to guzarti hai gham-e-dil pe giran aur

manzur jalana hai to ek bar jala do
yun dil ke sulagne se to uthta hai dhuan aur

khamoshi ne ruswai ke gul aur khilae
dafnaya mohabbat ko to ubhre hain nishan aur

us jaisa zamane mein koi ek to hota
us dar se uthen uth ke magar jaen kahan aur

chumega tere panw ko khud markaz-e-ummid
han raqs mein aa raqs mein aa umr-e-rawan aur

ta-umr suna kijiye ab naghma-e-khamosh
kahte na the nazuk hai na chhedo rag-e-jaan aur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close