palak palak sail-e-gham ayan hai na koi aahat na koi halchal kasak ye kaisi darun-e-jaan hai na koi aahat na koi halchal hamari basti mein har taraf inqalab-e-nau ka amal tha jari na jaane ye kaun sa jahan hai na koi aahat na koi halchal lahu uchhalne ka shor jaise faza mein gunja kabhi nahin tha ye hukm-e-shahr-e-sitamgaran hai na koi aahat na koi halchal ho subh-e-raushan ki sham-e-rangin kisi mein koi kashish nahin hai har ek khwahish dhuan dhuan hai na koi aahat na koi halchal nae zamane ki main bashaarat ka muntazir hun magar abhi tak hayat aise rawan-dawan hai na koi aahat na koi halchal hujum-e-saut-o-sada sadak par julus ban kar nikal pada hai samaaton ka ye imtihan hai na koi aahat na koi halchal main apne andar jahan chhupa hun koi na pahuncha wahan abhi tak sukut har samt be-karan hai na koi aahat na koi halchal faza ki raunaq zamin ki saj dhaj qalam ki jumbish pe munhasir hai ajib pabandi-e-zaban hai na koi aahat na koi halchal mere tasawwur ki nilgun jhil mein ek tara jahan gira tha wahan khamoshi bala-e-jaan hai na koi aahat na koi halchal badhun to aage dhuen ke baadal hatun to pichhe balaon ke dal ye kaisa manzar yahan wahan hai na koi aahat na koi halchal sukut sine mein aisa kab tha guman bhi guzre na dhadkanon ka khuda hi jaane ki dil kahan hai na koi aahat na koi halchal