tere aage adu ko nama-bar mara to kya mara na mara jaan se jis dam us ko gar mara to kya mara agar dil marte apna to kyun ye zillaten pate teri khwahish mein zalim hum ne sar mara to kya mara wo maren qahqaha sun kar meri sina-zani ka haal idhar mara to kya mara udhar mara to kya mara tumhaare hath to le leta apne hath se haihat dupatte se jo pahonche bandh kar mara to kya mara na dekho dur se hi mujh ko in tedhi nigahon se kisi ko tir tum ne phenk kar mara to kya mara saba ye kab jalan hoti jo sham-e-hijr gul hoti tapancha shama ko waqt-e-sahar mara to kya mara hua hai meri ruswai se tere husn ka shohra jo mujh ko jaan se ai bedad-gar mara to kya mara teri duri mein be-tasir gar roe to kya roe teri furqat mein nara be-asar mara to kya mara kahin hota hai dil ka josh-e-sauda kam abas ragzan ragon mein meri tu ne neshtar mara to kya mara 'nizam' is nafs-e-ammara ki gardan bhi kabhi todi jawan-mardi ka dam tum ne agar mara to kya mara