phir se aaraish-e-hasti ke jo saman honge tere jalwon hi se aabaad shabistan honge ishq ki manzil-e-awwal pe thaharne walo is se aage bhi kai dasht-o-bayaban honge tu jahan jaegi ghaarat-gar-e-hasti ban kar hum bhi ab sath tere gardish-e-dauran honge kis qadar sakht hai ye tark-o-talab ki manzil ab kabhi un se mile bhi to pasheman honge tere jalwon se jo mahrum rahe hain ab tak wahi aakhir tere jalwon ke nigahban honge ab to majbur hain par hashr ka din aane de tujh se insaf-talab ru-e-gurezan honge jab kabhi hum ne kiya ishq pasheman hue zindagi hai to abhi aur pasheman honge koi bhi gham ho gham-e-dil ki gham-e-dahr 'hafiz' hum ba-har-haal ba-har-rang ghazal-khwan honge