nasha nashe ke liye hai azab mein shamil kisi ki yaad ko kije sharab mein shamil har ek talash yahan faslon se raushan hai haqiqaten kahan hoti hain khwab mein shamil wo tum nahin ho to phir kaun tha wo tum jaisa kisi ka zikr to tha har kitab mein shamil hamein bhi shauq hai apni taraf se jine ka hamara nam bhi kije itab mein shamil akele kamre mein gul-dan bolte kab hain tumhaare hont hain shayad gulab mein shamil zamin roz kahan moajiza dikhati hai meri nigah bhi hogi naqab mein shamil usi ka nam hai naghma usi ka nam ghazal wo ek sukun jo hai iztirab mein shamil