nashat-e-fath se to daman-e-dil bhar nahin pae magar kyun haarne wale mohabbat kar nahin pae mudawa kis tarah hoga wahan zangar-e-wahshat ka agar kuchh aaine hum ne sitaron par nahin pae fasil-e-shahr se aage zara sa dasht khiska tha aur is ke baad logon ne bahut se ghar nahin pae sukut-e-marg kya tute ki hum ne shahar se bahar darakhton mein parinde bhi ziyaada-tar nahin pae kisi ne faqr se apne khazane bhar liye lekin kisi ne shahryaron se bhi sim-o-zar nahin pae dayar-e-ishq ke paudon mein ab bhi phul aate hain ki hum ne bhik mein 'sajid' kabhi akhgar nahin pae