rakht-e-safar ka main ne irada nahin kiya raushan charagh-e-manzil-e-jada nahin kiya tujh se bichhad ke aur mera dil udas ho milne ka is liye abhi wada nahin kiya shiddat se tha malal shab-e-hijr ka magar shane pe tere sar ko nihada nahin kiya dil mutmain hai bais-e-tajdid-e-dosti us ko khafa bhi had se ziyaada nahin kiya sab kuchh ata hua teri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushada nahin kiya shayad ki meri ruh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saghar-o-baada nahin kiya shayad meri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke warq ko is liye sada nahin kiya mujh ko na tamkanat ka ho ehsas-e-be-ziyan qamat ko apne aur sitara nahin kiya apni talash mein hun 'saba' is liye abhi su-e-haram safar ka irada nahin kiya