sau bulandi bhi jo ho pasti hai apni hasti bhi koi hasti hai daman-e-sabr na hathon se chhute ek tarah ki ye tahi-dasti hai ghair to ghair hain ab aawaze mujh pa meri hi fughan kasti hai hum nahin bechte dil phir kya hai is mein kuchh zor-zabardasti hai ghair sarshaar-e-mai-e-nakhwat hai us ko masti nahin bad-masti hai lakhon hain bechne wale le lo jins-e-dil ab to bahut sasti hai us ke sar chadh ke na utra ai zulf har bulandi ke liye pasti hai jin ko hasil hai tawakkul un ko faqa-masti mein bhi ek masti hai dil ka kanta to nikalen aa kar jin ko dawa-e-subuk-dasti hai ek nigah jins-e-wafa ki qimat unhen mahngi hai hamein sasti hai tujh pe mitna hai hayat-e-abadi nisti hi se meri hasti hai dil ke jaane pe main rota hun 'fahim' mujh pe ek khalq-e-khuda hansti hai