sard mausam hai bahut hijr ka aazar bhi hai kya kahen tujh se ye dil gham mein giraftar bhi hai kaise kah dun ki tere ba'd mujhe chain pada subh ghamgin meri raat dil-azar bhi hai zindagi kahti hai thahro na badho aur badho manzilen dur hain aur rasta dushwar bhi hai nai tamir ka sauda hai sar-o-dil mein magar samne sahn ki girti hui diwar bhi hai mera maddah mere fan se nahin shahr ka shahr khud ki pahchan mein kirdar ka kirdar bhi hai har kisi se nahin milta hun main jhuk kar 'shauqi' darmiyan apne koi chiz ye mear bhi hai