shor aahon ka utha nala falak sa nikla aaj is dhum se zalim tera shaida nikla yun to hum the yunhi kuchh misl-e-anar-o-mahtab jab hamein aag dikhai to tamasha nikla gham se hum bhanmati ban ke jahan baithe the ittifaqan kahin wo shokh bhi wan aa nikla sine ki aag dikhane ko dahan se apne shoale par shoala bhabhuke pe bhabhuka nikla mat shafaq kah ye tera khun falak par hai 'nazir' dekh tapka tha kahan aur kahan ja nikla