nasim hai tere kuche mein aur saba bhi hai hamari khak se dekho to kuchh raha bhi hai tera ghurur mera ijz ta kuja zalim har ek baat ki aakhir kuchh intiha bhi hai jale hai shama se parwana aur main tujh se kahin hai mehr bhi jag mein kahin wafa bhi hai khayal apne mein go hun tarana-sanjaan mast karahne ke dilon ko kabhi suna bhi hai zaban-e-shikwa siwa ab zamane mein haihat koi kisu se baham digar aashna bhi hai sitam rawa hai asiron pe is qadar sayyaad chaman chaman kahin bulbul ki ab nawa bhi hai samajh ke rakhiyo qadam khar-e-dasht par majnun ki is nawah mein 'sauda' barhana-pa bhi hai