rah mein shahr-e-tarab yaad aaya jo bhulaya tha wo sab yaad aaya jaane ab subh ka aalam kya ho aaj wo aakhir-e-shab yaad aaya hum pe guzra hai wo lamha ek din kuchh nahin yaad tha rab yaad aaya jab nahin umr to wo phul khila kab ka bachhda hua kab yaad aaya raqs karne lagi taron bhari shab tu bhi is raat ajab yaad aaya kitna iqrar chhupa tha is mein tere inkar ka dhab yaad aaya hosh udne lage 'nasir' ki tarah aaj wo yar ghazab yaad aaya