nawed-e-amad-e-fasl-e-bahaar bhi to nahin ye be-dili hai ki ab intizar bhi to nahin jo bhul jae koi shaghl-e-jam-o-mina mein gham-e-habib gham-e-rozgar bhi to nahin mariz-e-baada-e-ishrat ye ek jahan kyun hai surur-e-baada ba-qadr-e-khumar bhi to nahin mata-e-sabr-o-sukun jis ne dil se chhin liya wo dil-nawaz ada-ashkar bhi to nahin qafas mein ji mera lag to nahin gaya hamdam ki ab wo nala-e-be-ikhtiyar bhi to nahin hai ain wasl mein bhi pur-kharosh-e-parwana sukun-e-qalb ba-aghosh-e-yar bhi to nahin nigah-e-naz ki be-gana-e-mohabbat hai sitam to ye hai ki be-gana-war bhi to nahin wo ek rahbar-e-nadan ki jis ko ishq kahen dubo ke kashti-e-dil sharmsar bhi to nahin junun ko dars-e-amal de ke kya kare koi ba-qadr-e-hausla-e-dil bahaar bhi to nahin