tum ko ye hai agar yaqin dil mein wo jalwa-gar nahin dhundha karo tamam umr milne ka umr-bhar nahin aae na aae be-khabar kya tujhe ye khabar nahin sans ka e'tibar kya sham hai to sahar nahin dair ho kaba ho ki dil kis mein wo jalwa-gar nahin dekh sakun magar use itni meri nazar nahin kunj-e-qafas mein andalib muztar-o-bekas-o-gharib kahne ko baal-o-par to hain udne ko baal-o-par nahin dil mein bala ka josh hai sar liye sarfarosh hai jine ka hosh hai kahan marne ka us ko dar nahin tod raha hai aaj dam gham mein koi mariz-e-gham phir bhi hain aap be-khabar aap ko kuchh khabar nahin jaan gae ye mar ke hum mulk-e-adam tha do-qadam khatm ho jald jo safar aisa koi safar nahin parde mein aap baith kar rakhte hain har taraf nazar aur zaban par ye hai shokh meri nazar nahin lab pe hai nara-e-alast jhum raha hai koi mast chhai hai aisi be-khudi apni use khabar nahin uf ye mera nasib-e-bad ja ke bani kahan lahad sab ki hai rahguzar jahan aap ki rahguzar nahin baat ye tum ne sach kahi 'bismil' be-hunar sahi ye bhi hai ek bada hunar is mein koi hunar nahin