naya khila hai shagufa koi bahaar mein kya gundha hua hai mera dil kisi ke haar mein kya udane phul hasin aae hain bahaar mein kya lagi hai aag si ye aaj lala-zar mein kya kisi se kahne ye aae hain wo sahar hote tamam-raat kati mere intizar mein kya tumhaare khal ka bosa nahin hai ginti mein zara si chiz hai aaegi ye shumar mein kya utar li sar-e-bazar jis ne rukh se naqab hijab aae use sau main kya hazar mein kya ye surma chashm-e-adu ke liye utha rakkhen wo khak dalte hain chashm-e-etibar mein kya banaenge dil-e-pur-dagh jama kar ke unhen chamakte dekhe hain zarre mere ghubar mein kya ye mere dosh se hote nahin juda dam-e-naza gadenge mere farishte mere mazar mein kya hai intizar ki mai-nosh khum liye pahunchen ghiri hain kal se ghataen ye sabza-zar mein kya jo dekhe sanp ke kate ki lahr use aae bhara hai zahr ab aisa bhi zulf-e-yar mein kya sharab se bhi siwa khush-gawar hai hum ko bataen kya ki maza pad gaya udhaar mein kya kanar-e-shauq mein aa kar hasin nikal na sake asar khuda ne diya hai hamare pyar mein kya 'riyaz' tauba karo din khizan ke aae hain tum aae pine ko jati hui bahaar mein kya