naz-e-chaman wahi hai bulbul se go khizan hai tahni jo zard bhi hai so shakh-e-zafaran hai gar is chaman mein wo bhi ek hi lab-o-dahan hai lekin sukhan ka tujh se ghunche ko munh kahan hai hangam-e-jalwa us ke mushkil hai thahre rahna chitwan hai dil ki aafat-e-chashmak bala-e-jaan hai patthar se todne ke qabil hai aarsi tu par kya karen ki pyare munh tera darmiyan hai bagh-o-bahaar hai wo main kisht-e-zafran hun jo lutf ek idhar hai to yan bhi ek saman hai har-chand zabt kariye chhupta hai ishq koi guzre hai dil pe jo kuchh chehre hi se ayan hai is fan mein koi be-tah kya ho mera muariz awwal to main sanad hun phir ye meri zaban hai aalam mein aab-o-gil ka thahraw kis tarah ho gar khak hai ade hai war aab hai rawan hai charcha rahega us ka ta-hashr mai-kashan mein khun-rezi ki hamari rangin dastan hai az-khwesh rafta us bin rahta hai 'mir' aksar rahte ho baat kis se wo aap mein kahan hai