ya thi hawas-e-visal din raat ya rahne laga malal din raat bechain rakhe hai mere dil ko kafir ye tera khayal din raat rahta hai meri zaban pe tujh-bin afsana-e-zulf-o-khal din raat dekhun hun ba-nuqta-e-tasawwur milne ki tere hi fal din raat aankhon mein phire hai jun mah-e-id abru ka tere hilal din raat wo said hun main rahe hai jis ke andeshe ka sar pe jal din raat aankhon ke tale meri phire hai ab tak wahi bol-chaal din raat jis sabza-e-murgh-zar mein tha raqsinda mera ghazal din raat jaulani-e-dard-o-gham se ab yan wo sabza hai paemal din raat gar tu hi nahin to kyun jiyun main hai zist mujhe wabaal din raat furqat mein teri hai 'mushafi' ko likhna yahi hasb-e-haal din raat