sab ko uljhae hue hai zulf-e-pechan in dinon

sab ko uljhae hue hai zulf-e-pechan in dinon
kaun sunta hai mera haal-e-pareshan in dinon

ho raha hun mahw-e-did-e-ru-e-jaanan in dinon
kyon na hun phir surat-e-aina hairan in dinon

mushaf-e-rukh nur-afshani se baizawi hua
ho gae kya muttahid tafsir-o-quran in dinon

sahat-e-dil aaina hai aur aankhen durbin
kyon nazar aata nahin phir ru-e-jaanan in dinon

raat din goshe mein kab tak ishq-e-laila-e-jamal
ban ke majnun kijiye sair-e-bayaban in dinon

ab sikandar-pur rashk-e-khitta-e-shiraaz hai
lae hain tashrif ustad-e-sukhan-dan in dinon

lakhnau ki shaeri mansukh hai is daur mein
rashk-e-'nasikh' hai har ek tifl-e-dabistan in dinon

shairan-e-dahr ko ab hai pareshani nasib
karte hain ustad-e-akmal jama diwan in dinon

ek jagah rahne nahin deti zamane ki hawa
ho raha hun misl-e-auraq-e-pareshan in dinon

raat din 'ajiz' nawazi un ko ab manzur hai
kyon na ho phir basta-e-zanjir-e-ehsan in dinon


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close