naz par ye gudaz kaise hai tu haqiqat majaz kaise hai mujh ko dhadkan ka hai sada dhadka na dhadakne se baz kaise hai ye jahan hai jahan bhi dekhoge phir nasheb-o-faraaz kaise hai koi kufa-o-karbala mein shahid koi mahmud ayaz kaise hai zindagi ka ya maut ka ho shuur ye mujhe be-riyaz kaise hai ai mere khwab tu agar hai guman tu haqiqat-nawaz kaise hai jab nahin hai kisi ko mera lihaz mujh ko sab ka lihaz kaise hai jo nahin waqt katte katta haal ka imtiyaz kaise hai rashk-e-makhluq aadmi 'amir' ek qalam ki bayaz kaise hai