sitaron ki ginti hai hum jaante hain abhi raat baqi hai hum jaante hain ye shohrat majazi hai hum jaante hain ki hai bhi nahin bhi hai hum jaante hain bahut sari achchhi si khush-fahmiyon ki jo qimat ada ki hai hum jaante hain gulistan nazare darakht ek mahram jo dil pe guzarti hai hum jaante hain ye zulf-e-khayal-e-khata hai na kholo ye khul kar jo karti hai hum jaante hain ye zat-e-khuda hai ye dikhti hai dekho magar kis ne dekhi hai hum jaante hain ba-yak-waqt zabt-o-hawas kar ke 'amir' tabiat jo bigdi hai hum jaante hain