shab-e-siyah se niklega mahtab koi ufuq mein dekhte rahiyega roz khwab koi jawab dhund ke sare jahan se jab laute hamein to kar gaya yak-lakht la-jawab koi chaman se nikle hain ek phul tod kar hum bhi lahuluhan se hathon mein hai gulab koi milen to kaise milen jaen to kahan jaen ki kar raha hai bahut hum se ijtinab koi bikherte hue sona zamin mein chaaron taraf ubhar raha hai samundar se aaftab koi 'mamun' chaaron taraf mere ab andhera hai ubhar ke dub gaya mujh mein aaftab koi