nikle teri duniya ke sitam aur tarah ke darkar mere dil ko the gham aur tarah ke tum aur tarah ke sahi hum aur tarah ke ho jaen bas ab qaul-o-qasam aur tarah ke but-khane ka manzar ba-khuda aaj hi dekha the mere tasawwur mein sanam aur tarah ke karti hain mere dil se wo khamosh nigahen kuchh ramz ishaaron se bhi kam aur tarah ke gham hote rahe dil mein kam-o-besh wa-lekin besh aur tarah ke hue kam aur tarah ke mayus talab jaan ke is dasht-e-hawas mein yaron ne diye hain mujhe dam aur tarah ke rahti hai kisi aur taraf aas nazar ki hain waqt ke hathon mein alam aur tarah ke rahbar ka to andaz-e-qadam aur hi kuchh tha hain qafile walon ke qadam aur tarah ke kuchh aur hain us husn-e-basanti ki adaen hain naz nigaran-e-ajam aur tarah ke kahte ho ki phiki si runakhi si hain ghazlen lo sher sunaen tumhein hum aur tarah ke ye kis ne kiya yaad kahan jate ho 'haqqi' kuchh aaj to padte hain qadam aur tarah ke