nazar jab hum pe koi bar bar Dalega

nazar jab hum pe koi bar bar dalega
ye iltifat to be-maut mar dalega

mere liye kisi khanjar ki kya zarurat hai
mujhe to khud mera ehsas mar dalega

nahin hai waqt sadaqat ki baat mat kijiye
zamana dar-o-rasan se guzar dalega

jo asliyat hai chhupane se chhup nahin sakti
tu aaina pe kahan tak ghubar dalega

hai waqt is liye tera dimagh arsh pe hai
badal gaya to zamin mein utar dalega

ye soch kar mere hamrah chal sako to chalo
zamana rah-e-mohabbat mein khar dalega

sanwarta hun 'aziz' aaj kis ko phulon se
wo shakhs kal mere kanton ke haar dalega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close