teri ek baat pe yun dil se tarane nikle

teri ek baat pe yun dil se tarane nikle
jaise ummid ke jugnu ke thikane nikle

kya hua tera karam jo na hua gar mujh pe
meri ulfat ke gharaunde se khazane nikle

itna aasan na tha un se mera duri rakhna
kis tarah azm ko hum apne nibhane nikle

hum ne jaana tha mohabbat ka sila hoga gham
phir bhi kya soch ke hum umr ganwane nikle

un ke aane ki ho aahat to mujhe lagta hai
meri tanhai sarabon se sajaane nikle

jab bhi ehsas-e-masarrat hua ek pal ko tabhi
nind se dard ko mere wo jagane nikle

jo na kahna tha kabhi aaj wo ashaar banaen
phir ye mazur ghazal sab ko sunane nikle

tum se jo ho na saka hum bhi kahan the mahir
ishq ki rah pe nakaam siyane nikle

wasta itna hi rahta hai 'saba' un se ye
chashm-e-pur-nam ko sitaron se sajaane nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close