nigah-o-dil ka afsana qarib-e-ikhtitam aaya hamein ab is se kya aai sahar ya waqt-e-sham aaya zaban-e-ishq par ek chikh ban kar tera nam aaya khirad ki manzilen tai ho chukin dil ka maqam aaya uthana hai jo patthar rakh ke sine par wo gam aaya mohabbat mein teri tark-e-mohabbat ka maqam aaya use aansu na kah ek yaad-e-ayyam-e-guzishta hai meri umr-e-rawan ko umr-e-rafta ka salam aaya zara lau aur dil ki tez kar sila sa ye shoala na raushan kar saka ghar ko na mahfil hi ke kaam aaya nizam-e-mai-kada saqi badalne ki zarurat hai hazaron hain safen jin mein na mai aai na jam aaya abhi tak said-e-yazdan-o-sanam aulad-e-adam hai bashar insan nahin rahta jahan iman ka nam aaya bahaar aate hi khun-rezi hui wo sehn-e-gulshan mein khajil kante the yun phulon ko josh-e-intiqam aaya bhulae aabla-paon ko baithe the chaman wale garajti aandhiyan aain ki sahra ka salam aaya sahar ki hur ke kya kya ne dekhe khwab duniya ne magar tabir jab dhundi wahi ifrit-e-sham aaya kabhi shayad usi se rang-e-firdaus-e-bashar pae abhi tak to lahu insan ka shaitan hi ke kaam aaya mukammal tabsira karta hua ayyam-e-rafta par nigah-e-be-sukhan mein ek ashk-e-be-kalam aaya tawana ko bahana chahiye shayad tashaddud ka phir ek majbur par shoridgi ka ittiham aaya na jaane kitni shamen gul huin kitne bujhe tare tab ek khurshed itraata hua baala-e-baam aaya barahman aab-e-ganga shaikh kausar le uda is se tere honton ko jab chhuta hua 'mulla' ka jam aaya