nazar kisi ki nazar se nahin ulajhti thi wo din bhi the ki yunhi zindagi guzarti thi sitare apne liye khwahishon ki manzil the hasin raat hamein chandni pilati thi rahe the apni hawaon mein ek umr magar bikhar pade to har ek gam apni hasti thi yahi bahut tha ki kuchh log aa ke kahte the wo mera zikr bahut mukhlisana karti thi nazar mein pyar bhi tha aur takallufat bhi the kaha karenge kabhi hum ajib ladki thi khamosh rahti thi gahre samundaron ki tarah wo aankhen jin se niri shairi bikharti thi use mile to phir is baat ka suragh mila hamein ye zindagi kyun itni pyari lagti thi na jaane kitne hi safhon pe dil bikhera magar na kah sake to wo ek baat hi jo kahni thi