waqt par ishq-e-zulekha ka asar lagta hai aakhir-e-umr bhi aaghaz-e-safar lagta hai ye samundar hai magar sokhta-jaan shair ko kisi majbur ka ek dida-e-tar lagta hai subh-e-taza hai muqaddar dil-e-mayus thahar shajar-e-ummid pe inam-e-samar lagta hai main zaban-bandi ka ye ahd nahin todunga han magar is dil-e-gustakh se dar lagta hai hamein idrak-e-mohabbat to nahin hai lekin itna malum hai is khel mein sar lagta hai