nazar kya aae zat-e-haq kisi ko khayal us ka nahin mutlaq kisi ko na tha aashiq ke khun mein rang gulzar koi to de gaya raunaq kisi ko muqayyad mein muqayyad hai wo mutlaq na sujha itna bhi mutlaq kisi ko na kar itni bhi naseh harza-goi khush aati kab hai ye baq-baq kisi ko fareb-e-muddai khate hain kab hum magar samjha hai wo ahmaq kisi ko jigar hai chaak chaak-e-astin se dikhai tu ne kya mirfaq kisi ko riyaz-e-wasl se waqt-e-saqimi na hath aai kabhi sarmaq kisi ko tasawwur mein tere ai shola-e-husn nahin aaram chun zibaq kisi ko bharosa kya hai dil ka bahr-e-gham mein dubo dewe na ye zoraq kisi ko nikalne aap se deta nahin aah tilism-e-gumbad-e-arzaq kisi ko dikha de chandni mein apna mukhda sanam mil kar zara abraq kisi ko 'wahid'-e-dahr hai ai 'mushafi' tu na apne sath kar mulhaq kisi ko