tadbir hamare milne ki jis waqt koi thahraoge tum hum aur chhupenge yahan tak ji jo khub hi phir ghabraoge tum bezar karoge dil hum se ya minnat-e-dar se rokoge wo dil to hamare bas mein hai kis taur use samjhaoge tum gir jadu-mantar sikhoge to sehr hamari nazron ka is kuche mein bithlawe phir kahiye kyunkar aaoge tum gar chhup kar dekhne aaoge hum apne baala-khane ke sab parde chhode rakkhenge phir kyunkar dekhne paoge tum gar jadu-mantar sikhoge to sahar hamari nazron ka tasir ko us ki kho dega kuchh pesh nahin le jaoge tum taswir agar mangwaoge to dekh hamari surat ko hairan musawwir howega phir rang kaho kya laoge tum jo waqt 'nazir' in baaton ki hum khub karenge hushyari jo harf zaban par laoge tum phir kyunkar dikhlaoge tum