tab ko aaftab mein dekha aab mauj-e-sarab mein dekha ru-e-zeba-e-yar ko hum ne shaikh ji ke naqab mein dekha rang-e-bechun-o-bechagoni ko misl-e-dariya habab mein dekha ek nukte mein bahr-e-ilm jahan tere rukh ki kitab mein dekha mujh mein is tarah to hai poshida jaise bu ko gulab mein dekha khwesh-o-begana ki khabar na rahi tum ko jaise ki khwab mein dekha teri masti-e-ishq mein saqi jism jam-e-sharab mein dekha barq kahte hain ai 'qamar' jis ko wahi jalwa itab mein dekha