qabil-e-qadr to hai wa dar-e-zindan hona is pe turra teri zulfon ka pareshan hona sat pardon mein chhupa jauhar-e-taban-e-jamal is pe bhi samne aaine ka hairan hona kitne aiwan-e-falak-baam zamin-bos hue kya qayamat hai dil-e-zar ka nalan hona hum ne mana ki ye hai aab-e-baqa ka mamba pahle sabit bhi to ho chashma-e-haiwan hona laj rakhni hai yahan rahne ki jaane walo lala-o-gul mein kabhi kuchh to numayan hona laya iman ki 'mahir' bhi hai be-shak shair aaj hi dekha hai kafir ka musalman hona