nazar mein nit-nai hairaniyan liye phiriye saron pe roz naya aasman liye phiriye ab is faza ki kasafat mein kyun izafa ho ghubar-e-dil hai so dil mein nihan liye phiriye yahi bacha hai so ab zist ki gawahi mein yahi nishan-e-dil-e-be-nishan liye phiriye qarar-e-jaan to sar-e-ku-e-yar chhod aae mata-e-zist hai lekin kahan liye phiriye ajab hunar hai ki danishwari ke paikar mein kisi ka zehn kisi ki zaban liye phiriye