soch raha hai itna kyun ai dast-e-be-takhir nikal tu ne apne tarkash mein jo rakkha hai wo tir nikal jis ka kuchh anjam nahin wo jang hai do naqqadon ki lafzon ki saffak sinanen lahjon ki shamshir nikal aashob-e-takhrib sa kuchh is andam-e-takhliq mein hai tod mere diwar-o-dar ko ek nai tamir nikal chand sitaron ki kheti kar raat ki banjar dharti par aankh ke is sukhe dariya se khwabon ki tabir nikal tere is ehsan se meri ghairat ka dam ghutta hai mere in pairon se apni shohrat ki zanjir nikal roz ki aapa-dhapi se kuchh waqt chura kar lae hain yar zara hum donon ki ek achchhi si taswir nikal 'shahid' ab ye aalam hai is ahd-e-sukhan-arzani ka 'mir' pe kar irad bhi us pe 'ghaalib' ki tafsir nikal