wo shakh-e-gul ki tarah mausam-e-tarab ki tarah main apne dasht mein tanha charagh-e-shab ki tarah khayal-o-fikr ki sachchaiyan bhi shamil hain mere lahu mein mere shajara-e-nasab ki tarah wo apni khalwat-e-jaan se pukarta hai mujhe main chahta hun use harf-e-zer-e-lab ki tarah khusha ye daur ki wo bhi hai sath sath mere mere khayal ki surat meri talab ki tarah main apne ahd ki aawaz-e-na-rasa hi sahi dhadak raha hun dilon mein sukut-e-shab ki tarah na khil ke ser hua main na jal ke rakh hua ki meri pyas bhi hai tere rang-e-lab ki tarah