ye ghar ke bhed hain kahun kaise zaban se kya dukh mile hain mujh ko mere bhai-jaan se cafe ke ek kone mein masruf guftugu maghmum be-hayat badan be-zaban se ye din jo aaj bit gaya phir na aaega ye tir bhi nikal gaya qaus-e-kaman se achchhe bashar hain jin ko nahin dhundne ki dhun achchha khuda hai dur hai wabastgan se ulte kunen ke qutr mein latka diye gae utre the do farishte kabhi aasman se