qadmon ko thaharne ka hunar hi nahin aaya sab manzilen sar ho gain ghar hi nahin aaya thi tegh usi hath mein qatil bhi wahi tha jo hath ki maqtal mein nazar hi nahin aaya ghar khod diya sara khazane ki hawas mein niw aa gai tah-khane ka dar hi nahin aaya kya shakhon pe itraiye kya kije gulon ka pedon pe agar koi samar hi nahin aaya sau khauf zamane ke simat aae hain dil mein bas ek khuda-pak ka dar hi nahin aaya